Bekhayali Lyrics
by Sachet Tandonfrom Kabir Singh lyrics, the song is sung by Sachet Tandon. The music composed by Sachet-Parampara and written by Irshad Kamil. It's featuring by Shahid Kapoor and Kiara Adwani.
Hmm..
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori yeh sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye
Main jo tumse door hoon
Kyun door main rahun
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon oo
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun judaai de gaya tu, yeh sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye
Hai yeh tadpan, hai yeh uljhan
Kaise jee loon bina tere
Mera ab sab se hai annban
Bante kyun yeh Khuda mere hmmm..
Yeh jo log-baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun..
Yeh nakaam pyaar mein
Khush hain haar mein
Inn jaisa kyun banun oo
Raatein dengi bata
Neendon mein teri hi baat hai
Bhoolun kaise tujhe
Tu to khayalon mein saath hai
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori yeh sawaal aaye
Nazar gira de har ik manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhaara badan mein mere
Zehar ki tarah utar raha hai
Aa zamaane aazma le roothta nahi
Faasion se hausla yeh toot'ta nahi
Naa hai wo bewafa aur na main hun bewafa
Wo meri aadaton ki tarah chhoot'ta nahi

Writer: Irshad Kamil
Composer: Sachet-Parampara
Album: Kabir Singh
Stars: Shihid Kapoor, Kiara Advani
Year: 2019
0 Comments